Saturday, September 06, 2008

jhoothi thi teri wafayein, ya teri bewafaai jhoothi hai

jhoothi thi teri wafayein, ya teri bewafaai jhoothi hai
jhoothi thi teri muskaan, ya meri zindagi mujhse roothi hai

kaha tha tune, teri zindagi mein meri hi kami thi
ruth jaata agar main, teri aankhon mein bhi nami thi

agar nahi hai mohabbat, toh tujhe kya gum hai
dekh ke mayoos mujhe, kyon teri aankhein num hai

zinda toh hoon, magar laash banake chal raha hoon
har waqt, har pal, teri judai ki aag mein jal raha hoon

ashq nikalate nahi aankhon se aur main pee leta hoon
kahi nikal na jaye dil se duhai, isliye labo ko main see leta hoon

mohabbat hai toh mohabbat ka ijhaar kar
marr jane de mujhe ya ishq ka ikrarr kar