Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili,
Jaise Chaahte Thay Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,
Milne Ko Zindgi Main Kayi Humsafer Miley,
Par Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,
Chehron Mein Duusron Ke Tumhe Dhoondhte Rahe,
Surat Nahi Milli Kahin Seerat Nahi Mili,
Bohut Deir Se Aaya To Mere Pass Kya Kahoon,
Alfaaz Dhoondne Ki Bhi Mouhlat Nahi Mili,
Tujh Ko Gila Raha Ke Tawajoh Na Di Tujhe,
Lekin Humein Khud Apni Mohabbat Nahi mili,
Her Shakhas Zindgi Mein Bohut Deir Se Mila,
Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Mili,
Hum Ko To Teri Aadatein Achhi Lagin,
Afsoos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Milli